Friday, January 11, 2019

XIAOMXI REDMI NOTE 7 48 MEGAPIXEL OR REDMI 7 LAUNCHED.


China ki smartphone banane wali company xiaomi china me xiaomi redmi note 7 or redmi 7 smartphone launch karne wali hai. jisme rear camera 48 megapixel hai jo ki isse premium look deta hai.
xiaomi iss saal bohot he dhamakedaar phone ke saath entry kar raha hai. ek tarah jaha xiaomi aaj india me apne 48 megapixel camere waale phone or MI LED TV ki nayi price ko launch karne wala hai wahi dusri taraf china me company ne aaj ek launch event rkkha hai jisme ye apne do naye smartphone ko launch krne wali hai. 

XIAOMI REDMI NOTE 7 OR REDMI 7 PRICE AND SPECIFICATION

Xiaomi in dono smartphone ko china me launch karne wala hai. launch ke baad in smartphone ko kis price par becha jayega iske baare me abtak ki jaankari bahar nahi aayi hai, kuch reports ke anusaar xiaomi redmi note 7 or redmi 7 ki price redmi note 6 pro ke comparison me ya usse jada ho sakti hai. iski design ke baare me kaafee jaankari available hai, abhi jald he xiaomi ke global pravakkta donovan sung ne tweet par in smartphone ki kuch pictures leak kiya hai. leak li gayi pics ko dekhkar kaha ja sakta hai ki xiaomi ne apne in smatphones ki design me bohot changes kiye hai, pahle aane wali polycarbonate or metal finish ki jagah in devices me glass finish diya gaya hai. camere ki baat kare to rear camera 48 megapixels+5megapixel dual camere ka hai or wahi AI features se bhi less hai, processor ki baat kare to Qualcomm snapdragon 660 and battery 4000 Mah ki hai.





Share ki gayi images ki mutabik phone me rear fingerprint scanner diya gaya hai, or to or xiaomi redmi note 7 me 6.3 inch ka display diya gaya hai. agar baat kare iske storage or ram ki to 6GB Ram ke variant ke saath ye phone market me aapko jald se jld dekhne ko milega;

so guys i hope ki aap logo ko ye jaankari acchi lagi ho agar apko ye article pasand aaya ho to aap isse dusro ko bhi share jarur kae.

Thankyou....


No comments:

Post a Comment